Ai Agni kitne rang-roop hae re tere,
Pili bhi tu, neeli bhi tu,
Choti bhi tu , attanki badi bhi tu,Pujniya bhi tu, koshniya bhi tu....
Is aag ki prachand jwala me hae humne bhi hath jalaye,
Agni ki is lahu me hae humne bhi bhoton ko gawaye...
Ye duniya ek Agni hae jisme logo ne hae bhot gawaye,
In gawai hui cheezon me se aao ek chotiii si cheez bataye.....
Hey duniye kya hume harne ka, sambhalne ka, suru krne ka haq nhi..?
Agar hae toh tu itni badnam kyun..??
Har gali, har chauraha,.. har ghar ,har kinara, sare tere se itne pareshan kyun..?? Kya Kiya tune Aisa ki itni badnam tu....
Samay ke sath sath girti chali gayi hae tu,itni badnam kyun ??
Log keh rhe ki tu aj-kl bada badal rhi hae,.. sirf dikhawa hae yaaa sach me thoda sambhal Rahi ???
Har ek ke jeewan kal me pura hath hae Tera,janm se maran tak kyun bura name hae re Tera...
Kitni ke jeewan barbad Kiya hae re tune,,,choti soch chote Kam bol ke har mahila ko ghar baithya hae tune...
Sudhar ja samay badal raha hae re....haq ki ladai toh har koi ladh rha hae re toh tu har ek bar kyun khatak rha hae re....
Tu apni dukh toh bta use sambhal lenge,
Tu dikkaten aur pareshaniya bata use sudhar lenge...pr tu chup kyun hae ..kya tujhe bhi yahi lagta ki
"Samaj kya kahega agar hum har cheez bta denge???"
Agar tu samaj hae toh itni pareshan kyun,
Aage aa, khul ke bol na apne dikkaten tu ,,,..
Tujhe bhi yahi darr hae na ki kahi koi ye na keh de ki-- aurat ho ,choti ho , shant rho ...
Tujhe bhi yahi Darr hae na ki koi Teri nhi sunega ,
Tujhe bhi yahi darr hae na ki koi tujhe chup - chap ghar baitha dega..
Tujhe bhi yahi darr hae na ki koi tujhe ye na bol de ki abhi Jo Krna hae krlo , Shadi ke bad har cheez samajh jaoge....
Tujhe bhi yahi darr hae naaa....
Bandam tu, dusro ke jeewan se pareshan tu,...Naya daur. Hae nayi soch hae... Are ,...badal ja na re tu, badal ja na re tu.....
My thought behind this poem - This poem was writen by me on the womens day. The poem represents the socital pressure on maximum females that doesn't allow them to move forward in life. They have a very limited life and if they don't move forward that their mistakes.Thats the bitter truth but now the times has changed a bit and females are also excelling in their life.But we expect this society to favour both the sides equally.
Write a comment ...